ahmaq nahin ki samjhen bura waqt Tal gaya
kuchh rose ke liye jo ye mausam badal gaya
yak-laKHt hanste log ye barham kyun ho gae
shayad meri zaban se kuchh sach nikal gaya
raazi the hum to jaan bhi dene ke waste
kam-zarf le ke dil hi hamara machal gaya
kya bolne ke hak ka uThaega faeda
jo bhuk mein zaban hi apni nigal gaya
mangega jaedad mein hissa ye ek roz
filhaal chahe le ke khilaune bahal gaya
ehsanmand chahe hamara na ho koi
par hum gire to sara zamana sambhal gaya
kanTon pe ehtiyat se chalta tha aadmi
in chamchamate farshon pe 'jaanib' phisal gaya
Ghazal
Ahmaq nahin ki samjhen bura waqt Tal gaya
Mahesh Janib