ahl-e-ulfat se tane jate hain 
roz roz aap bane jate hain 
zabh to karte ho kuchh dhyan bhi hai 
KHun mein hath sane jate hain 
ruThna un ka ghazab Dhaega 
ab wo kya jald mane jate hain 
kuchh idhar dil bhi khincha jata hai 
kuchh udhar wo bhi tane jate hain 
kyun na gham ho mujhe ruswai ka 
wo mere sath sane jate hain 
dil na ghabrae ki wo ruTh gae 
chaar fiqron mein mane jate hain 
hai ye matlab nahin chheDe koi 
baiThe baiThe wo tane jate hain 
be-wafaon se wafa ki ummid 
'nuh' nadan bane jate hain
        Ghazal
Ahl-e-ulfat se tane jate hain
Nooh Narvi

