اردو हिंदी
Ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai | Shaahi Shayari
ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai

Ghazal

Ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai

Iftikhar Arif

;

ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai
miTTi se gulab ki duri baDhti jati hai

mehrabon se mahal-sara tak Dheron-Dher charagh
jalte jate hain be-nuri baDhti jati hai

karobar mein ab ke KHasara aur tarah ka hai
kaam nahin baDhta mazduri baDhti jati hai

jaise jaise jism tashaffi pata jata hai
waise waise qalb se duri baDhti jati hai

girya-e-nim-shabi ki neamat jab se bahaal hui
har lahza ummid-e-huzuri baDhti jati hai