ahl-e-junun the fasl-e-bahaaran ke sar gae
hum log KHwahishon ki hararat se mar gae
hijr o visal ek hi lamhe ki baat thi
wo pal guzar gaya to zamane guzar gae
ai tirgi-e-shahr-e-tamanna bata bhi de
wo chand kya hue wo sitare kidhar gae
wahshat ke is nagar mein wo qaus-e-quzah se log
jaane kahan se aae the jaane kidhar gae
KHushbu asir kar ke uDae phiri hamein
phir yun hua ki hum bhi faza mein bikhar gae
Ghazal
Ahl-e-junun the fasl-e-bahaaran ke sar gae
Abbas Rizvi