ahl-e-jahan ke milne se hum ehtiraaz kar
baiThe hain gosha-gir ho is dil se saz kar
surat usi ki hai mutajalli har ek mein
dekhe jo koi chashm-e-haqiqat ko baz kar
sajda jise karen hain har-su hai jalwa-gar
jidhar tera mizaj ho udhar namaz kar
go aasman par bhi uDa tu to kya hua
main kaun hun kahan hun ye bhi imtiyaz kar
kal ek pal bhi tu na thama us ke ru-ba-ru
ai ashk kya mila tujhe ifsha-e-raaz kar
'joshish' ho jab talak ki haqiqat se tujh ko rah
tab tak barae-shughl tu sair-e-majaz kar
Ghazal
Ahl-e-jahan ke milne se hum ehtiraaz kar
Joshish Azimabadi