ahl-e-ishq ki hasti kya ajib hasti hai
marg-e-na-gahani ko zindagi tarasti hai
nam hai sukun jis ka jins wo nahin milti
ashk jis ka hasil hain wo KHushi to sasti hai
jis jagah mohabbat se husn-o-ishq milte hain
kaun si wo duniya hai kaun si wo basti hai
sau tarah rulati hai bhul kar agar hansiye
roiye to ye duniya khilkhila ke hansti hai
kya zarur pi kar hi hum surur mein aaen
wo nazar salamat hai be-piye hi masti hai
jalwa-ha-e-rang-o-bu dil mein kya jagah paen
aankh mein jo basta hai dil to us ki basti hai
dusre ke saghar par jo nazar nahin rakhte
un ki mai-parasti mein shan-e-haq-parasti hai
kis ki mai-farosh aankhen bas gain tasawwur mein
be-niyaz jam-o-mai apni mai-parasti hai
dil unhen tarasta hai jab wo dur hote hain
jab qarib aate hain aankh unhen tarasti hai
hum ne ishq-o-ulfat mein wo fareb khae hain
jin ki dil-farebi ko zindagi tarasti hai
sadqe aasman-jahi tere KHaksaron par
rashk-e-sad-bulandi hai ishq mein jo pasti hai
be-sabaat pata hun aksar un umidon ko
hae jin umidon par inhisar-e-hasti hai
jab zara KHayal aaya hosh ho gae ruKHsat
ai 'rishi' un aankhon mein kis bala ki masti hai
Ghazal
Ahl-e-ishq ki hasti kya ajib hasti hai
Rishi Patialvi