اردو हिंदी
Ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho | Shaahi Shayari
ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho

Ghazal

Ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho

Hasan Najmi Sikandarpuri

;

ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho
aabaad hon sitare zamin regzar ho

ek shan ye bhi jine ki hai ji rahe hain log
tufan se lagao samundar se pyar ho

haalat mein kabhi ye tawazun dikhai de
gham mustaqil rahe na KHushi mustaar ho

nafrat ke sang-rezon ki barish thame kabhi
dair-o-haram ke beach safar KHush-gawar ho

sadiyon se ghul rahi hai isi fikr mein hayat
rahzan se pak zist ki har rahguzar ho

baad-e-sumum luT le chehron ki tazgi
agli sadi ki aisi na fasl-e-bahaar ho

'najmi' jo apne ahd ki tariKH ban gae
un shairon mein kash mera bhi shumar ho