ahl-e-gham se ishrat-e-alam ka saman ho gaya
jab zamin ki dagh ubhar aae gulistan ho gaya
apni had se baDh ke jata kis taraf ko dil mera
jaan paDte hi ye musht-e-KHak be-jaan ho gaya
ishq ke baad ab hawadis ki zarurat kya rahi
aasman dam le mere marne ka saman ho gaya
hashr mein pahchan kar qatil ka munh takne laga
jab zarurat hosh ki dekhi to hairan ho gaya
KHuftagan-e-KHak kitna be-mahal soe ki ab
majma-e-ahbab ek KHwab-e-pareshan ho gaya
inqalab aa kar madad dete hain istedad ko
karwaTen badlen lahu ne aur insan ho gaya
rasta wahshat ko aaKHir mil gaya tangi mein bhi
ye gareban tha jo do hathon mein daman ho gaya
wusat-e-sahn-e-jahan kuchh kam na thi ai ishq dost
kyun ghaTa itna ki dil walon ko zindan ho gaya
baghban ki rae mein main be-haqiqat tha magar
baad mere aashiyan dagh-e-gulistan ho gaya
ruk chala hai beach mein KHanjar ilahi KHair ho
dam na niklega agar qatil pasheman ho gaya
ek qatra bahr-e-isyan ka tha jo yun sar chaDha
palte palte daman-e-alam mein tufan ho gaya
jab koi aansu mizha par aa ke chamka sham-e-gham
main ye samjha subh ka tara numayan ho gaya
shukr shane ka karun ya sabr ko DhunDun kahin
zulf to simTi magar han dil pareshan ho gaya
kam se kam par aaj raazi hain shahidon ke mazar
aap hans denge to samjhenge charaghan ho gaya
jis mein lakhon phul the 'saqib' wo bagh-e-dil-kusha
ek hi gardish mein gardun ki bayaban ho gaya
Ghazal
Ahl-e-gham se ishrat-e-alam ka saman ho gaya
Saqib Lakhnavi