اردو हिंदी
Ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath | Shaahi Shayari
ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath

Ghazal

Ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath

Mahtab Haider Naqvi

;

ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath
zindagi hum ne basar kar li hai nadani ke sath

ek tamannaon ka bahr-e-be-karan tha aur hum
kashti-e-jaan ko bacha lae hain aasani ke sath

ab kise dil ke dhaDakne ki sadaen yaad hain
ye bhi hangama gaya is ghar ki virani ke sath

ai hawa tu ne to sare marke sar kar liye
subh-e-farda pas baiThi hai pashimani ke sath

dasht-e-wahshat se bhala karta hai aankhen chaar kaun
shahr baDhte ja rahe hain apni uryani ke sath

tu nahin aata na aa ai dost ab teri tarah
hum bhi chal nikle hain apne dushman-e-jaani ke sath