ahl-e-dil ne ishq mein chaha tha jaisa ho gaya
aur phir kuchh shan se aisi ki socha ho gaya
aib apni aankh ka ya faiz tera kya kahun
ghair ki surat pe mujh ko tera dhoka ho gaya
tujh se ham-ahang tha utna kashish jati rahi
main tera ham-qafiya tha aib-e-ita ho gaya
yaad ne aa kar yakayak parda khincha dur tak
main bhari mahfil mein baiTha tha ki tanha ho gaya
kashti-e-sabr-o-tahammul meri tufani hui
raat ko tera badan jab mauj-e-dariya ho gaya
kya hua gar tere honTon ne masihai na ki
teri aankhen dekh kar bimar achchha ho gaya
ishq miTTi ka ajab tha mujh ko bachpan mein 'salim'
khel mein kya sochta main jism maila ho gaya
Ghazal
Ahl-e-dil ne ishq mein chaha tha jaisa ho gaya
Saleem Ahmed