ahl-e-dil milte nahin ahl-e-nazar milte nahin
zulmat-e-dauran mein KHurshid-e-sahr milte nahin
manzilon ki justuju ka tazkira be-sud hai
DhunDne niklo to ab apne hi ghar milte nahin
aadmi TukDon ki surat mein hua hai muntashir
wahdat-e-fikr-o-nazar wale bashar milte nahin
raste raushan hain aasar-e-safar madum hain
bastiyan maujud hain diwar-o-dar milte nahin
zauq-e-nazzara dilon mein dafn ho kar rah gaya
aankh walon mein bhi ab ahl-e-nazar milte nahin
baDh gae hain is qadar qalb o nazar ke fasle
sath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahin
zehn ki chaTyal zamin se aanch aati hai 'zahir'
ab yahan ehsas ke rangin shajar milte nahin
Ghazal
Ahl-e-dil milte nahin ahl-e-nazar milte nahin
Zaheer Kashmiri