اردو हिंदी
Ahl-e-dil gar jahan se uThta hai | Shaahi Shayari
ahl-e-dil gar jahan se uThta hai

Ghazal

Ahl-e-dil gar jahan se uThta hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

ahl-e-dil gar jahan se uThta hai
ek jahan jism o jaan se uThta hai

chalo ai ham-raho ghanimat hai
jo qadam is jahan se uThta hai

jama rakhte nahin, nahin malum
KHarch apna kahan se uThta hai

gar naqab us ke munh se uTThi nahin
shor kyun karwan se uThta hai

wae be-taqati o be-sabri
parda jab darmiyan se uThta hai

phir wahin gir paDe hai parwana
gar Tuk ek shama-dan se uThta hai

qissa-e-'mushafi' suna kar yar
ishq is dastan se uThta hai