اردو हिंदी
Ahl-e-badan ko ishq hai bahar ki koi chiz | Shaahi Shayari
ahl-e-badan ko ishq hai bahar ki koi chiz

Ghazal

Ahl-e-badan ko ishq hai bahar ki koi chiz

Farhat Ehsas

;

ahl-e-badan ko ishq hai bahar ki koi chiz
bahar kise mili hai magar ghar ki koi chiz

bazar rose aaega jis ghar mein be-daregh
bazar bhi to jaegi us ghar ki koi chiz

qatre ka e'timad bhi kuchh be-sabab nahin
qatre ke pas bhi hai samundar ki koi chiz

aaj us ke lams-e-garm se jaise pighal gai
mujh mein dhaDak rahi thi jo patthar ki koi chiz

sara hujum hai kisi apni talash ka
khoi gai hai shahr mein aksar ki koi chiz

ye hai kisi visal ki hasrat ki KHauf-e-hijr
chubhti hai raat-bhar mujhe bistar ki koi chiz

'ehsas' shairi mein ghulata hai falsafa
har sher arz karta hai jauhar ki koi chiz