ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar
ai andheri raat tujh ko bhi badalna chahiye
bawajud-e-gham musalsal qahqahe ai na-murad
karwan-e-zindagi ke sath chalna chahiye
shan-e-rindana ki hai tauhin az-KHud-raftagi
sahl hai pina magar pi kar sambhalna chahiye
zindagi wo kya jo hai na-waqif-e-ashob-e-ishq
sina-e-adam mein tufanon ko palna chahiye
iqtiza-e-asr-e-nau hai zindagi to darkinar
maut ko bhi husn ke sanche mein Dhalna chahiye
ai junun kuchh der shaghl-e-KHak-bazi hi sahi
dil to is sahra-e-hasti mein bahalna chahiye
Ghazal
Ahd hazir mein ayar-e-subh to badla magar
Nihal Sevharvi