ahd-e-wafa subuk-hawa rang-e-wafa ke sath sath
ruh-e-suKHan badal gai tarz-e-ada ke sath sath
sar mein liye teri hawa aazim-e-shahr-e-dil chala
nikhat-e-gul ke ham-rikab mauj-e-saba ke sath sath
Dhang badalte jaenge rang machalte aaenge
laghzish-e-pa ki tarz mein rang-e-hina ke sath sath
ek tere KHayal ne fikr ko par laga diye
hum bhi hawaon mein rahe mauj-e-hawa ke sath sath
ta ye safar hayat ka maqsad-e-zindagi bane
chahiye markaz-e-nigah gardish-e-pa ke sath sath
lazzat-e-na-umidi-e-shauq bhi mustaqil to ho
tark-e-talab bhi kijiye tark-e-dua ke sath sath
aap hi kah ke sunte hain aap hi sun ke hanste hain
apni hi bazgasht hain apni sada ke sath sath
haq bhi hai maslahat-e-talab ruKH pe hawa-e-dahr ke
chalte hain ab KHuda-parast KHalq-e-KHuda ke sath sath
'baqar'-e-kam-ayar ki qadr kahan thi zist mein
uTh ke KHamosh chal diya wo bhi qaza ke sath sath
Ghazal
Ahd-e-wafa subuk-hawa rang-e-wafa ke sath sath
Sajjad Baqar Rizvi