ahd-e-wafa ka qarz ada kar diya gaya
mahrumiyon ka dard ata kar diya gaya
phulon ke dagh-ha-e-farozan ko dekh kar
arzan kuchh aur rang-e-hina kar diya gaya
waraftgan-e-shauq ka shikwa sune baghair
gulshan supurd-e-ahl-e-jafa kar diya gaya
dil se umang lab se dua chhin li gai
kahne ko qaidiyon ko riha kar diya gaya
yak-do-nafas bhi kar-e-ziyan hum na kar sake
KHushbu ko pairahan se juda kar diya gaya
mangi thi aafiyat ki dua aagahi ka gham
pahle se bhi kuchh aur siwa kar diya gaya
'aKHtar' hawas-garan-e-aqidat ke faiz se
sab kuchh rawa ba-nam-e-KHuda kar diya gaya
Ghazal
Ahd-e-wafa ka qarz ada kar diya gaya
Akhtar Ziai