ahd-e-sad-maslahat-andesh nibhana paDega
muskurane ke liye gham ko bhulana paDega
jaante hain ki ujaD jaenge hum andar se
mante hain ki tumhein shahr se jaana paDega
aamad-e-fasl-e-bahaaran pe koi jashn to ho
dosto dil pe koi zaKHm khilana paDega
chashm-e-bad-dur yahi ek mera sarmaya hai
teri yaadon ko zamane se chhupana paDega
tumhein jaana hai chale jao magar shart ye hai
ki bila-nagha tumhein KHwab mein aana paDega
KHud ko pahchan nahin paenge chehron wale
unhen aaina-e-auqat dikhana paDega
nazar-andaz bhi kar sakte ho iKHlas mera
ye koi qarz nahin hai jo chukana paDega
shairi ho to nahin sakti kabhi tera badal
kya karen dil to kahin aur lagana paDega
thak na jae wo kahin hum pe sitam karte hue
'yasir' us ka bhi hamein hath baTana paDega
Ghazal
Ahd-e-sad-maslahat-andesh nibhana paDega
Ali Yasir