ahd-e-piri ne hamein rang dikhae kya kya
sar pe ho sham to baDh jate hain sae kya kya
Thokaren lagne lagin zoaf-e-basarat ke sabab
dekhiye zoaf-e-samaat bhi dikhae kya kya
tark ulfat ki kabhi aur kabhi tark mai ki
ab to ahbab bhi dene lage rae kya kya
wae nadani-e-dil is ne mohabbat kar ke
ranj-o-gham mol liye baiThe-biThae kya kya
KHud ko ruswa kiya har raaz chhupa kar us ka
apne sar le liye ilzam parae kya kya
aish-o-ishrat se sada kaam jawani mein raha
sher-o-naghma se shab-o-roz sajae kya kya
saya-e-zulf kabhi aur kabhi daman ki hawa
us ke altaf-o-karam yaad na aae kya kya
fikr-e-uqba se larazte hain ab aasab-e-'tamiz'
dekhiye fard-e-amal samne lae kya kya
Ghazal
Ahd-e-piri ne hamein rang dikhae kya kya
Tameezuddin Tameez Dehlvi