ahd-e-mayusi jahan tak sazgar aata gaya
apne-ape mein dil-e-be-iKHtiyar aata gaya
kuchh sukun kuchh zabt kuchh rang-e-qarar aata gaya
al-gharaz iKHfa-e-raaz-e-qurb-e-yar aata gaya
uDte uDte us ke aane ki KHabar milti rahi
baal khole muzhda-e-gesu-e-yar aata gaya
rafta rafta meri al-gharzi asar karti rahi
meri be-parwaiyon par us ko pyar aata gaya
jasta jasta lahlahaya gulshan-e-zaKHm-e-jigar
rafta rafta dasta-e-gul par nikhaar aata gaya
nind aankhon mein magar aati gai uDti gai
dosh-e-nikhat par payam-e-zulf-e-yar aata gaya
us ne jis had tak bhi hum se dastan-e-gham suni
hum ko is nisbat se fan-e-iKHtisar aata gaya
ghaaliban ye bhi hai meri kaamyabi ka sabab
apni nakaami pe ghussa bar bar aata gaya
un mein shamil muskuraate phul bhi tare bhi hain
jin darichon se shuur-e-husn-e-yar aata gaya
aage aage aashiyane KHar-o-KHas chunte chale
pichhe pichhe taKHt-e-taus-e-bahaar aata gaya
is qadar nazdik-tar aati rahi qadmon ki chap
jis qadar KHadsha KHilaf-e-intizar aata gaya
us ke rujhan-e-nazar mein dilkashi pate hue
e'tibar-e-gardish-e-lail-o-nahaar aata gaya
rang laegi hamari tang-dasti ek din
misl-e-ghaalib 'shad' gar sab kuchh udhaar aata gaya
Ghazal
Ahd-e-mayusi jahan tak sazgar aata gaya
Shaad Aarfi