ahd-e-KHurshid mein zarron ki haqiqat kya hai
gard to aap hi chhaT jaegi ujlat kya hai
baat kije jo ujalon ki to wo kahte hain
wasl ki raat ujale ki zarurat kya hai
chand be-zor shajar chand khilae hue phul
aur gulchin ki gulistan pe inayat kya hai
kucha-e-zahr-e-faroshan mein nikal aaya hun
kucha-e-yar mein suqraat ki qimat kya hai
rakh ho jate hain kitne hi usulon ke charagh
tab kahin ja ke KHabar hoti hai shohrat kya hai
hai mere sher mein kuchh us ki shabahat warna
phul kya chiz hain kaliyon ki sabahat kya hai
dil qalandar ho to insan sitaron se buland
afsari jah-o-hasham daulat-o-shohrat kya hai
sar wahi hai jo kisi taj ka muhtaj na ho
zulf-e-jaanan nazar aae to hukumat kya hai
ho jise jurat-e-inkar mayassar 'KHalid'
us ko miTTi ke khilaunon ki zarurat kya hai
Ghazal
Ahd-e-KHurshid mein zarron ki haqiqat kya hai
Khalid Yusuf