ahd-e-kam-koshi mein ye bhi hausla main ne kiya
shahr ke sab band darwazon ko wa main ne kiya
main ne saf-ara kiya ek majma-e-shorida-sar
kaj-kulah-e-shahr ko be-majra main ne kiya
de diye mahrumiyon ke hath mein jam-o-subu
mai-kade mein ek hangama bapa main ne kiya
main adalat mein uTha laya hun KHud apni salib
mere munsif dekh ye bhi faisla main ne kiya
main ne majnun ko diya dars-e-suluk-e-ashiqi
chaak-daman ko mohabbat ki jaza main ne kiya
main ne aiwanon mein phenke sang-e-jurat-afrin
nashsha-e-taqat-asar ko be-maza main ne kiya
is se baDh kar aur kya hoga subub-e-bandagi
mujh se 'tishna' us ne jo kuchh bhi kaha main ne kiya
Ghazal
Ahd-e-kam-koshi mein ye bhi hausla maine kiya
Alamtaab Tishna