ahbab ke qarib mohabbat se baiThiye
izzat jo mil gai hai to izzat se baiThiye
un ki gali mein jaana zaruri nahin magar
jaana jo ho gaya to sharafat se baiThiye
anjam-e-ishq Thik hi hoga janab-e-shaiKH
fursat se aa gae ho to fursat se baiThiye
sahil se har KHushi ka nazara fuzul hai
tufan-e-gham mein rah ke bhi himmat se baiThiye
nafrat ki baat karna gunah-e-azim hai
mahbub ke qarib to chahat se baiThiye
rah rah ke gir rahi hain nigahon ki bijliyan
aa kar hamare pas mohabbat se baiThiye
'maikash' ko pine dijiye zulfon ki chhanw mein
kuchh der us ke pas mohabbat se baiThiye
Ghazal
Ahbab ke qarib mohabbat se baiThiye
Maikash Nag Puri