ahbab ho gae hain bahut mujh se bad-guman
qainchi ki tarah chalne lagi hai meri zaban
ek baat meri un ki tawajjoh na pa saki
kahte the log hote hain diwar ke bhi kan
khiDki ko khol kar to kisi roz jhank lo
KHali hai aaj-kal mere ehsas ka makan
tanha udas kamre mein baiTha hua tha main
ek lafz ne bikher diye mushk o zafran
pani ka ruKH badalne ko mare hath panw
ek aadmi jo KHud ko batata raha chaTan
KHud ko sambhaal paega main kis tarah kahun
sukha daraKHt tez hawaon ke darmiyan
ek din mein apne ghar ke khuli chhat pe chaDh gaya
mujh ko zamin par nazar aaya ek aasman
Ghazal
Ahbab ho gae hain bahut mujhse bad-guman
Tanveer Samani