ahbab bhi hain KHub ki tashhir kar gae
mera sukut ishq se tabir kar gae
jadu-asar the honT ki saghar ko chum kar
kuchh aur hi sharab ki tasir kar gae
har uzw jaise jism ka tha bolta hua
lahrae us ke hath ki taqrir kar gae
az-baam ta-ba-mai-kada gesu dhuan dhuan
aalam tamam halqa-e-zanjir kar gae
tahrir-e-KHatt-e-jam se sab wa hue rumuz
hum uqda-e-miyan ki tadbir kar gae
han katiban-e-nama-e-amal ko thi kad
kuchh aur meri fard mein tahrir kar gae
'sahba' wo ek lafz tha diwar ka likha
hum jo miTe to ishq ki tauqir kar gae
Ghazal
Ahbab bhi hain KHub ki tashhir kar gae
Sahba Waheed