aham aankhen hain ya manzar khule to
abhi hain band kitne dar khule to
to phir kya haal ho bas kuchh na puchho
jo bhitar hai wahi bahar khule to
KHayal o lafz hain dast-o-gareban
hai kam-tar kaun hai bartar khule to
sab apni karni mere mtthe manDh di
musir tha KHair KHud ki shar khule to
dikhai dega kuchh ka kuchh sabhi kuchh
magar manzar ka pas-e-manzar khule to
kaDi hum hain usi ek silsile ki
samundar umDe gar gagar khule to
nadarat wusaten sab rifaten phir
paron mein aasman hain par khule to
maze ki nind ek lambi si jhapki
badan tera mera bistar khule to
Ghazal
Aham aankhen hain ya manzar khule to
Shamim Abbas