اردو हिंदी
Agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai | Shaahi Shayari
agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai

Ghazal

Agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai

Jameeluddin Aali

;

agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai
kahta hai takalluf kya karna hum tum mein to pyar ka nata hai

kahta hai ziyaada milne se wadon ki KHalish baDh jaegi
kuchh wade waqt pe bhi chhoDo dekho wo kya dikhlata hai

kahta hai tumhaara dosh na tha kuchh hum ko bhi apna hosh na tha
phir hansta hai phir rota hai phir chup ho kar rah jata hai

KHud us se kaha ghar aane ko aur us ke bina mar jaane ko
aur ab jo wo kuchh aawara hua ji rah rah kar ghabraata hai

ai bachcho ai hansne walo tariKH-e-mohabbat paDh Dalo
dil wale ke dil par qaid nahin har umr mein Thokar khata hai