agarche zehn ke kashkol se chhalak rahe the
KHayal sher mein Dhalte hue jhijak rahe the
koi jawab na suraj mein tha na chand ke pas
mere sawal sar-e-asman chamak rahe the
na jaane kis ke qadam chumne ki hasrat mein
tamam raste dil ki tarah dhaDak rahe the
kisi se zehn jo milta to guftugu karte
hujum-e-shahr mein tanha the ham, bhaTak rahe the
ye us ne dekha tha ek raqs-e-na-tamam ke baad
wufur-e-shauq mein kaun-o-makan thirak rahe the
kitab-e-umr-e-guzishta ke hashiyon mein 'nabil'
wo shor tha ki zamin aasman dhamak rahe the
Ghazal
Agarche zehn ke kashkol se chhalak rahe the
Aziz Nabeel