agarche tujh se bahut iKHtilaf bhi na hua
magar ye dil teri jaanib se saf bhi na hua
talluqat ke barzaKH mein hi rakha mujh ko
wo mere haq mein na tha aur KHilaf bhi na hua
ajab tha jurm-e-mohabbat ki jis pe dil ne mere
saza bhi pai nahin aur muaf bhi na hua
malamaton mein kahan sans le sakenge wo log
ki jin se ku-e-jafa ka tawaf bhi na hua
ajab nahin hai ki dil par jami mili kai
bahut dinon se to ye hauz saf bhi na hua
hawa-e-dahr hamein kis liye bujhati hai
hamein to tujh se kabhi iKHtilaf bhi na hua
Ghazal
Agarche tujhse bahut iKHtilaf bhi na hua
Parveen Shakir