agarche mujh ko be-tauq-o-rasan-basta nahin chhoDa
kisi qaidi ko us ne is qadar sasta nahin chhoDa
har ek se dusre ka rabt us ne toD Dala hai
kisi ka dil kisi ke dil se wabasta nahin chhoDa
KHud apne KHwab chun aaya hun kuchh rangin dhokon mein
kisi titli ki KHatir main ne guldasta nahin chhoDa
sunen rudad-e-gham kis se ki aashob-e-tabahi ne
koi ek bhi gharana shahr mein basta nahin chhoDa
kahen kya haal qabron ka ki ab ke us ne basti mein
janaze bhi guzarne ka koi rasta nahin chhoDa
kahan par us ne mujh par taliyan bajti nahin chahen
kahan kis kis ko mere haal par hansta nahin chhoDa
Ghazal
Agarche mujhko be-tauq-o-rasan-basta nahin chhoDa
Iqbal Kausar