agarche maut ko hum ne gale lagaya nahin
magar hayat ka ehsan bhi uThaya nahin
nazar ke samne ek pal bhi jo nahin Thahra
wo kaun shaKHs hai dil ne use bhulaya nahin
main apne aap ko kin raston mein bhul aaya
ki zindagi ne bhi mera suragh paya nahin
main jis ke waste malbus-e-harf bunta hun
wo ek KHayal abhi zehn mein bhi aaya nahin
hazar KHwahish-e-duniya hazar KHauf-e-ziyan
meri ana ka qadam phir bhi Dagmagaya nahin
hayat-e-jabr ka sahra-e-be-karan jis mein
mohabbaton ke shajar ka kahin bhi saya nahin
zamana guzra 'munawar' udhar se guzra tha
hawa ne naqsh-e-qadam aaj tak miTaya nahin
Ghazal
Agarche maut ko humne gale lagaya nahin
Munawwar Hashmi