agarche main ne likhin us ko arziyan bhi bahut
uDain us ne magar un ki dhajjiyan bhi bahut
milega faeda kuchh zist ke safar mein mujhe
agarche is mein hai adnesha-e-ziyan bhi bahut
mere qarib jab aaoge jaan jaoge
buraiyan hain agar mujh mein KHubiyan bhi bahut
baDe dukhon mein guzari hai zindagi phir bhi
jahan main chhoDi hain hum ne kahaniyan bhi bahut
dikhai dete hain kuchh phul ab bhi shaKHon par
bikher di hain hawaon ne pattiyan bhi bahut
ye aur baat hai mahfuz bijliyon se na the
meri nigah mein the yun to aashiyan bhi bahut
hamari dosti ai dost shak ki zad mein hai
hain qurbaten bhi bahut hum mein duriyan bhi bahut
masarraton ki talab mein jo ghar se nikla tha
usi ke hisse mein aaen udasiyan bhi bahut
abhi to habs hai mushkil hai sans lena bhi
hawa chali to phir aaengi aandhiyan bhi bahut
ghazab ka husn sahi teri sadgi mein magar
pasand hain mujhe ai dost shoKHiyan bhi bahut
mera KHayal hai pa lunga main 'rashid' use
mere KHayal mein lekin hain KHamiyan bhi bahut

Ghazal
Agarche maine likhin usko arziyan bhi bahut
Rasheed Usmani