agarche lai thi kal raat kuchh najat hawa
uDa ke le gai baadal bhi sath sath hawa
main kuchh kahun bhi to kaise ki wo samajhte hain
hamari zat hawa hai hamari baat hawa
unhen ye KHabt hai wo qaid hum ko kar lenge
tumhin batao ki aai hai kis ke hath hawa
kisi bhi shaKHs mein Thahrao nam ka bhi nahin
hamein to lagti hai ye sari kaenat hawa
uDa ke phulon ke jismon se KHushbuen sari
kare hai mere liye paida mushkilat hawa
'atiq' bujhta bhi kaise charagh-e-dil mera
lagi thi us ki hifazat mein sari raat hawa
Ghazal
Agarche lai thi kal raat kuchh najat hawa
Ateeq Allahabadi