اردو हिंदी
Agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah | Shaahi Shayari
agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah

Ghazal

Agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah

Kaif Ansari

;

agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah
KHamosh rah gae hum log sahilon ki tarah

kisi ke samne main kis liye zaban kholun
mili hai apni ana mujh ko dushmanon ki tarah

tere baghair nazar aae hain mujhe aksar
makan ke dar-o-diwar qatilon ki tarah

na jaane kaun si manzil ko chal diye patte
bhaTak rahi hain hawaen musafiron ki tarah

hamin ne khol ke lab ruh phunk di warna
tamam harf the be-jaan pattharon ki tarah

main ro raha tha shab-e-gham ki zulmaton se bahut
KHuda ka shukr jale zaKHm mishalon ki tarah

yahi to 'kaif' hasad hai ki dil bhi yaron ke
siyah ho gae likkhe hue KHaton ki tarah