agarche dil ko le sath apne aaya ashk mera
nigah mein teri hargiz na bhaya ashk mera
main tere hijr mein jine se ho gaya tha udas
pe garm-joshi se kya kya manaya ashk mera
hazar zaruri hai ai sarw-e-naz is se tujhe
ki aabshaar-e-mizha ko bahaya ashk mera
hua hai kaun se KHurshid-ru se garm itna
ki mere dil ko jo aisa jalaya ashk mera
ba-rang-e-ghuncha-e-afsurda ho gaya tha ye dil
so waise murda ko pal mein jalaya ashk mera
hua wo jab nazar-andaz yar ka 'agah'
mujhe ye be-asari par hansaya ashk mera
Ghazal
Agarche dil ko le sath apne aaya ashk mera
Baqar Agah Vellori