agarche aankh bahut shoKHiyon ki zad mein rahi
meri nigah hamesha adab ki had mein rahi
samajh saka na koi zindagi ki arzish ko
ye jins-e-KHas traazu-e-nek-o-bad mein rahi
bahut buland hua tamkanat se taj-e-shahi
kulah-e-faqr magar nazish-e-namad mein rahi
hamesha dard se aari raha ye zahid-e-KHushk
ye nash zinda sada gosha-e-lahad mein rahi
dilon mein baiTh gaya barhaman ka husn-e-bayan
hadis-e-shaiKH tilismat-e-radd-o-kad mein rahi
Ghazal
Agarche aankh bahut shoKHiyon ki zad mein rahi
Sufi Tabassum