agar zaban se na ashk-e-rawan se guzrega
to phir ghubar-e-tabiat kahan se guzrega
hamare naqsh-e-qadam rah mein banae rakho
abhi zamana isi kahkashan se guzrega
abhi to bijliyan TuTengi KHirman-e-dil par
abhi to qafila shahr-e-butan se guzrega
nasib hongi use sarfaraaziyan kya kya
jo sar jhuka ke tere aastan se guzrega
usi se raste puchhenge KHairiyat meri
wo mere shahr mein tanha jahan se guzrega
main sochta hun rahega jo fasla qaem
zamana un ke mere darmiyan se guzrega
nasib hongi use kaamyabiyan 'nazmi'
KHushi ke sath jo har imtihan se guzrega
Ghazal
Agar zaban se na ashk-e-rawan se guzrega
Nazmi Sikandrabadi