agar ye raushni qalb o nazar se aai hai
to phir shabih-e-sitam-gar kidhar se aai hai
mahak raha hai badan mang mein sitare hain
shab-e-firaq bata kis ke ghar se aai hai
gulon mein rang to KHun-e-jigar se aaya hai
magar ye tazgi is chashm-e-tar se aai hai
rawish rawish pe kuchh aaise Tahal rahi hai saba
ki jaise ho ke teri rahguzar se aai hai
ise tu gosha-e-maKHsus mein sambhaal ke rakh
kiran hai kucha-e-shams-o-qamar se aai hai
Ghazal
Agar ye raushni qalb o nazar se aai hai
Shaheen Mufti