agar yaqin na rakhte guman to rakhte
hum apne hone ka koi nishan to rakhte
tamam din jo kaDi dhup mein sulagte hain
ye peD sar pe koi saeban to rakhte
hamari baat samajh mein to un ki aa jati
hum apne sath koi tarjuman to rakhte
hamein safar ka KHasara pasand tha warna
musafirat ki thakan sar pe tan to rakhte
mushahidat ka dar laziman khula hota
hum apni aankh su-e-shama-dan to rakhte
jila ke baiTh gae daman-e-sahar 'nasik'
sitare TuT rahe the to dhyan to rakhte
Ghazal
Agar yaqin na rakhte guman to rakhte
Athar Nasik