agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta
to darmiyan na muqaddar ka faisla rakhta
wo mujh ko bhul chuka ab yaqin hai warna
wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta
bhaTak rahe hain musafir to raste gum hain
andheri raat mein dipak koi jala rakhta
mahak mahak ke bikharti hain us ke aangan mein
wo apne ghar ka daricha agar khula rakhta
agar wo chand ki basti ka rahne wala tha
to apne sath sitaron ka qafila rakhta
jise KHabar nahin KHud apni zat ki 'zarrin'
wo dusron ka bhala kis tarah pata rakhta
Ghazal
Agar wo mil ke bichhaDne ka hausla rakhta
Iffat Zarrin