agar wo ham-safar Thahren to hum ko Dar mein rakhte hain
bikhar jaen na hum KHud ko muqayyad ghar mein rakhte hain
hamein sayyargan ki gardishen malum hain lekin
hum apni gardishon ko apne hi mehwar mein rakhte hain
safar ke baad rahte hain tasalsul mein safar ke hum
talash-e-rizq ka jazba shikasta par mein rakhte hain
hamara haal-e-dil ab tak kisi par khul nahin paya
wufur-e-dard ko hum zabt ki chadar mein rakhte hain
hum ahl-e-dard hain apna to shewa hi faqiri hai
jahan ke dard apni zat ke paikar mein rakhte hain
koi qarun baqi hai na koi shah ab 'asif'
wo kaise log hain KHud ko jo qaid-e-zar mein rakhte hain
Ghazal
Agar wo ham-safar Thahren to hum ko Dar mein rakhte hain
Shafiq Asif