agar wo hadisa phir se hua to
main tere ishq mein phir paD gaya to
ki us ka ruThna bhi lazmi hai
mana lunga agar hoga KHafa to
meri uljhan sulajhti ja rahi hai
dikhaya hai tumhi ne rasta to
yaqinan raaz-e-dil main khol dunga
diya apna jo us ne wasta to
chalo kuchh der ro len sath mil kar
koi lamha KHushi ka mil gaya to
tujhe mahfuz kar lun zehn-o-dil mein
mila hai tu kahin phir kho gaya to
naya rishta nibhane ki talab mein
agar TuTa purana rabta to
kaleje se laga kar rakhte hum bhi
hamein wo raaz apne saunpta to
'nazar' tum zindagi samjhe ho jis ko
faqat pani ka ho wo bulbula to
Ghazal
Agar wo hadisa phir se hua to
Nazeer Nazar