agar wo gul-badan mujh pas ho jawe to kya howe
zamin-e-dil mein tuKHm-e-ishq bo jawe to kya howe
sanam tujh zulf ke zunnar ke rishte mein aa zahid
apas ke subha-gardani kun kho jawe to kya howe
pila jam-e-sharab-e-aish wo saqi-e-bazm-ara
ghubar-e-gham kun lauh-e-dil sun ho jawe to kya howe
bayan karta hun main tujh zulf-e-mushkin ka sanam nis din
KHutan mein gar suKHan mere ki bu jawe to kya howe
sada mashq-e-junun-e-ishq mein rahta hai saudai
agar 'daud' ki yu zisht-KHu jawe to kya howe
Ghazal
Agar wo gul-badan mujh pas ho jawe to kya howe
Daud Aurangabadi