agar wo be-adab hai be-adab likh
kabhi jo likh nahin paya wo ab likh
tamazat hirs ki had se baDhi hai
samundar KHud hua hai tishna-lab likh
ana meri zaban khulne na degi
mujhe tu jitna chahe be-talab likh
kamina sari duniya tere aage
magar apna bhi to nam-o-nasab likh
meri qindil-e-jaan jalti hai shab bhar
zara apni bhi to rudad-e-shab likh
'tapish' tere liye meri dua hai
jo haq tu jaanta hai sab ka sab likh
Ghazal
Agar wo be-adab hai be-adab likh
Abdussamad ’Tapish’