agar us ka mera jhagDa yahin tai ho to achchha ho
KHuda jaane KHuda ke samne kal kya na ho kya ho
guzarti hai bashar ki zindagi kis wahm-e-baatil mein
jo aisa ho to aisa ho jo aisa ho to aisa ho
shab-e-KHalwat ye kahna bar bar us ka banawaT se
hamein chheDe to ghaarat ho hamein dekhe to andha ho
wo har dam ki ayaadat se meri ghabra ke kahte hain
ghazab mein jaan hai apni na mar jae na achchha ho
wo farmate hain mujh ko dekh kar main yun na manunga
agar ye 'nuh' hai tufan uThae gharq-e-duniya ho
Ghazal
Agar us ka mera jhagDa yahin tai ho to achchha ho
Nooh Narvi