agar ulTi bhi ho ai 'mashriqi' tadbir sidhi ho
magar ye shart hai insan ki taqdir sidhi ho
samajh mein aae bhi kya kahte hain aur kya wo likhte hain
agar taqrir sidhi ho agar tahrir sidhi ho
wo aa kar KHwab mein ek bosa ruKH ka de gae mujh ko
yaqin mujh ko nahin is KHwab ki tabir sidhi ho
kaji ai 'mashriqi' ho dur kyun kar kaj-mizajon ki
nahin mumkin ki pusht-e-asman-e-pir sidhi ho
Ghazal
Agar ulTi bhi ho ai mashriqi tadbir sidhi ho
Sardar Genda Singh Mashriqi