agar tum rok do izhaar-e-lachaari karunga
jo kahni hai magar wo baat main sari karunga
mera dil bhar gaya basti ki raunaq se sau ab main
kisi jalte hue sahra ki tayyari karunga
sar-e-rah tamanna KHak Dalunga main sar mein
jo aansu bujh gae un ki aza-dari karunga
mujhe ab aa gae hain nafraton ke bij bone
so mera haq ye banta hai ki sardari karunga
main le aaunga maidan mein sabhi lafzon ke lashkar
aur un se lauh-e-fikr-o-fan pe purkari karunga
kai gham aa gae hain haal mera puchhne ko
main ab is haal mein kis kis ki dildari karunga
Ghazal
Agar tum rok do izhaar-e-lachaari karunga
Abdurrahman Wasif