agar tum dil hamara le ke pachhtae to rahne do
na kaam aae to wapas do jo kaam aae to rahne do
mera rahna tumhaare dar pe logon ko khaTakta hai
agar kah do to uTh jaun jo rahm aae to rahne do
kahin aisa na karna wasl ka wada to karte ho
ki tum ko phir koi kuchh aur samjhae to rahne do
dil apna bechta hun wajibi dam us ke do bose
jo qimat do to lo qimat na di jae to rahne do
dil-e-'muztar' ki betabi se dam uljhe to wapas do
agar marzi bhi ho aur dil na ghabrae to rahne do
Ghazal
Agar tum dil hamara le ke pachhtae to rahne do
Muztar Khairabadi