agar sune to kisi ko yaqin nahin aae
makan bulate rahe aur makin nahin aae
wo chand lafz jo kuchh bhi nahin siwa sach ke
wo chand lafz bayan mein kahin nahin aae
to kya hua jo ye tan mil rahe hain miTTi mein
abhi wo KHwab to zer-e-zamin nahin aae
abhi se naz na kar itna KHush-libasi par
abhi to bazm mein wo nukta-chin nahin aae
kisi ki aankh mein raushan hain jaisi tabiren
idhar to KHwab bhi itne hasin nahin aae
Ghazal
Agar sune to kisi ko yaqin nahin aae
Shoaib Nizam