agar shama hue to gal gae hum
jo parwana hue to jal gae hum
paDe aa kar falak ke aasiya mein
misal-e-dana hae dal gae hum
kisi surat na paya hum ne aaram
yahan se wan ke tain be-kal gae hum
na yan se le gae na wan se lae
kaf-e-afsos nahaq mal gae hum
tilismat-e-jahan ka dekh zahir
taraf mani ke ab ojhal gae hum
chale aae the tariki se lekin
pa chalte waqt le mashal gae hum
na aaya hath wo dair-o-haram mein
mila jab dal ke dar-mandal gae hum
agar samjhoge mani shaiKH sahab
gae par tum ko kar qael gae hum
rahega nam 'afridi' ka ta-hashr
hamein the jo ki la-tail gae hum

Ghazal
Agar shama hue to gal gae hum
Qasim Ali Khan Afridi