agar rona hi ab mera muqaddar hai mohabbat mein
to daman bhi tumhaara ho mere ashkon ki qismat mein
sawali ho ke main ne tere dar ko baKHsh di izzat
nahin to kya nahin hai mere daman-e-mohabbat mein
pae-baKHshish abhi dariya-e-rahmat josh mein aae
kam-az-kam ye asar to hai mere ashk-e-nadamat mein
pahunch kar un ke sang-e-astan par bhi nahin miTti
wo mahrumi-e-sajda jo likhi hoti hai qismat mein
ata ko dekh apni zarf-e-dil ka zikr kya saqi
ki dariya bhi sama hai zarf-e-dil ki wusat mein
wo aalam yaad hai jab dil khincha jata tha pahlu se
kashish pahli si kya baqi nahin lafz-e-mohabbat mein
waqar' ai kash meri umr mein shamil na ki jae
wo muddat han wahi muddat jo guzri un ki furqat mein
Ghazal
Agar rona hi ab mera muqaddar hai mohabbat mein
Waqar Manvi